Siraj Razvi

Siraj Razvi

Share

12/01/2026

Social Media Par Fahashi Phailane Wale Musalmano Ke Liye Qur’an o Hadees Ki Sakht Warning
Jo Log Social Media Par Apne Aap Ko Musalman Keh Kar Fahashi Aur Gande Videos Daalte Hain — Unke Liye Qur’an o Hadees Ki Sakht Warning

Aaj ka daur social media ka daur hai. Facebook, Instagram, YouTube, TikTok jaise platforms par laakhon Musalman apni pehchaan “Musalman” ke taur par karwa rahe hain.

Lekin afsos ke saath kehna padta hai ke isi social media par kuchh log be-hijhaki fahashi, behayai aur galiz videos upload kar rahe hain, aur phir bhi apne aap ko Musalman kehlate hain.

Qur’an Shareef is rawaiye ko sakhti se haram aur gumraahi qarar deta hai.

Fahashi Phailana Qur’an Ki Nazar Me
Allah Ta’ala irshad farmata hai.

Beshak jo chahte hain ke Musalmano me behayai phailay, unke liye duniya aur aakhirat me dardnaak azaab hai.
(Surah Noor, Aayat 19 )

Is aayat me sirf fahashi karne walon ki baat nahi,
balki fahashi PHAILANE walon ke liye bhi sakht azaab ka elaan hai.

Aaj jo shakhs bhi
gande dance videos, behuda comedy,
ashleel reels, na-mehram ke saath behayai,
ya logon ko gunah par uksane wala content
upload karta hai,

wo sirf apna nahi balki hazaron logon ka gunah apne sir le raha hai.

Gunah-e-Jaariya: Maut Ke Baad Bhi Gunah Band Nahi Hota

Rasoolullah ﷺ irshad farmate hain:
Jis ne gumraahi ka rasta shuru kiya, us par uska gunah bhi hoga aur un sab ka bhi jo us par amal karein, bina unke gunah kam hue.
(Sahih Muslim)

Sochiye
Agar aapka dala hua fahashi video 1 saal baad dekha ja raha hai Ya
5 saal baad bhi log usse gunah kar rahe hain
aap qabr me hain aur video chal raha hai

Toh ye gunah-e-jaariya hai — aisa gunah jo maut ke baad bhi khatam nahi hota.

Ek Aisa sach jiska inkar koi nahi karta pure dunya me Aur na koi inkar kar sakta hai wo hai Mout.
Maut Ka Koi Bharosa Nahi Qur’an farmata hai:

Har jaan ko maut ka maza chakhna hai.
(Surah Aal-e-Imran, Aayat 185)

Aaj jawani hai, views aa rahe hain, likes mil rahe hain
lekin kya guarantee hai ke agla saans milega?

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:
Aqalmand woh hai jo apne nafs ko qaboo me rakhe aur maut ke baad ke liye tayyari kare.
(Tirmizi)

Kya humne socha Qabr me sabse pehla sawal kya hoga?
Aankhon, kaanon, haath aur zaban ka hisaab kaise denge?

Jo video aaj entertainment’ lag raha hai kal azaab na ban jaye?

Be-Hayai Imaan Ko Kha Jati Hai
Nabi ﷺ farmate hain:
Haya imaan ka hissa hai.
(Bukhari & Muslim)

Aur ek jagah irshad farmaya:
Jab tum me haya na rahe, to jo chaho karo.
(Bukhari)

Yani be-hayai insaan ko har gunah par be-khauf kar deti hai.

Abhi Bhi Waqt Hai — Tauba Kar Lo
Allah Ta’ala farmata hai:
Aur wohi hai jo apne bandon ki tauba qubool farmata hai.
(Surah Shura, Aayat 25 )

Agar aapne kabhi galat content dala hai
kisi ko gunah par uksaya hai
behayai ka sabab bane hain

toh aaj hi Sanchi tauba karein
Sab galat videos delete karein
Allah se ro-ro kar maafi maangein
Apne platform ko Deen, achhi baat aur nekhi ke liye istemal karein

Aur Aaj kuchh log sirf paisa, views aur monetization ke lalach me behayai aur fahashi ka rasta ikhtiyar kar rahe hain. Yaad rakho, haraam se kamaya gaya paisa na barkat deta hai, na sukoon, balki aakhirat me azaab ka sabab banta hai.

Allah Ta’ala irshad farmata hai.
Aur gunah aur zyadti par ek dusre ki madad na karo.
(Surah Maida, Aayat 2 )

Fahashi content bana kar paisa kamana gunah par madad lena hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya.
Jo j**m haraam se pala bada ho, uske liye jahannam zyada haqdaar hai.
(Tirmizi)

Jo log majboori ka bahana banate hain, unke liye Qur’an ka faisla wazeh hai:

Aur jo Allah se darta hai, Allah uske liye nikalne ka raasta bana deta hai aur use wahan se rizq deta hai jahan se use gumaan bhi nahi hota.
(Surah Talaq, Aayat 2–3 — Kanzul Imaan)

Yaad rakho: camera band ho jayega, paisa yahin reh jayega,
lekin fahashi ka gunah qabr tak saath jayega, aur agar video chalti rahi to gunah-e-jaariya banta rahega.
Abhi bhi waqt hai — haraam chhod do, galat content delete karo aur Allah ki taraf sachhi tauba kar lo.

Faisla aaj karna hai, kal nahi
kyunki kal ka koi bharosa nahi.
Allah Ta’ala hum sab ko fahashi aur behayai se mehfooz farmaye aur sachi tauba ki taufeeq ata kare. Aameen.

Siraj Razvi Official 25/12/2025

Islam Kyun Haqq Hai
4 Buniyadi Daleelein

Aaj ke daur me Islam par sawalat aur aitraz aam ho chuke hain, lekin sach yeh hai ke Islam jitna sawalon ke samne aata hai, utna hi mazboot ho kar ubhar kar aata hai.

Islam koi jazbaati ya andhi taqleed ka deen nahi, balki aql, fitrat aur wahee par qaim mazhab hai.

Ye 4 points Islam ko haqq saabit karne ke liye kaafi hain.

Point 1
Nabi-e-Kareem ﷺ Insani Tareekh ka Sab Se Bada Zinda Mo‘jiza
Agar koi shakhs sirf Aaqa Wa Moula Nabi e Kareem Muhammad Mustafa ﷺ ki zindagi ko imandari se padh le, to use Islam ke haqq hone ke liye kisi aur daleel ki zarurat hi nahi rehti.

Nabuwat ke Ailan se pehle bhi aap ﷺ Al-Ameen kehlaye.
Dushman bhi aap ﷺ ki amanat aur sachchai ke gawah rahe.
Aap ﷺ ki poori zindagi history ke samne khuli kitaab hai.

Ghair-Muslim
Mashhoor American historian Michael H. Hart ne apni kitab
“The 100: A Ranking of the Most Influential Persons in History” me
Nabi-e-Kareem ﷺ ko poori insani tareekh me No. 1 par rakha.
Uski wajah yeh batayi:
Muhammad ﷺ mazhabi rehnuma bhi thay
Aur dunyawi rehnuma bhi
Aur dono me ghair-mamooli kamyabi hasil ki
Yeh baat koi Musalman nahi, balki ek ghair-Muslim muhaqqiq keh raha hai Wo bhi 1400 saal ke baad.

Aur A‘la Hazrat Farmate hain
“Nabi ﷺ ki zaat khud apni risalat ki daleel hai.”
(Fatawa Razvia)

Allah TaAla ne Apne Habib Sallallahu Alaihi wa sallam ko Wo izzat di jise Har Aql aur shaoor rakhne wala manta hai.

------------------------------------------------------

Point 2. Qur’an-e-Majeed

Dusra point hai Quran Shareef
Qur’an sirf ek mazhabi kitaab nahi, balki Allah Ta‘ala ka zinda kalaam hai.
14 sadiyon se ek harf bhi tabdeel nahi.

Arab ke bade-bade fasiho-baligh jawab na la sake
Ilm, aql, history aur science ke liye Rahnuma Aur Har daur ke liye rehnuma.

Aur Allah taAla ka khula Challenge hai:
Al Qur'an
Agar tumhein shak ho to is jaisi ek hi soorat bana lao.
(Kanzul Imaan)

Aaj tak Na koi soorat la saka
Na koi tahreef sabit kar saka

A‘la Hazrat likhte hain:
“Qur’an Allah ka woh kalaam hai jo qayamat tak mehfooz rahega.

Insani zehan aisi kitaab paida nahi kar sakta.
Isliye kyunki ye Allah taAla ka kalaam hai Aur Quran Shareef ye baat khud saabit karti hai har Aql aur shaoor rakhne wala ye baat Taslim karta hai Quran Shareef padhne ke baad.

Qur’an Ki Hifazat – Allah Ka Khaas Mo‘jiza
Allah Ta‘ala ne Qur’an ki hifazat ka zimma khud liya:
“Beshak hum ne hi Qur’an utara aur hum hi uske muhafiz hain.”
(Kanzul Imaan)

Qur’an Ki Hifazat Ka Be-Misaal Nizaam
Har daur me lakhon huffaz
Bachche tak Qur’an lafz-ba-lafz yaad karte hain
Harakat, tajweed, qira’at — sab mehfooz

Agar (farz karo) duniya ki saari Qur’an ki kitaabein khatam kar di jayein,

to huffaz phir se wahi Qur’an, wahi lafz, wahi tartib ke saath likhwa denge.

Aisi hifazat:
Na Bible ke paas
Na Torah ke paas
Na kisi aur kitab ke paas
Yeh sirf Allah ke kalaam ka khaas imtiyaz hai.

------------------------------------------------------

Point 3

Allah Ta‘ala ke Baare Me Sirf Islam Ka Sahih Aqeedah.

Duniya ke tamam mazhab ya to:
Allah ko insaan bana dete hain
Ya use majboor, thaka hua, ya na‘oozubillah kamzor dikhate hain
Ya phir Allah ko hi chhor dete hain

Islam ka Aqeedah.
Allah ek hai, be-misal, be-niyaaz
Na Wo kisi se paida, na uske koi Aulad,
Na thakta hai, na sota hai
Har cheez ka khaliq, magar khud makhlooq se paak

A‘la Hazrat Farmate hain
“Allah ka wajood haqeeqi hai, aur uski zaat har tashbeeh se paak hai.”
(Fatawa Razvia)

Islam ka Aqeedah:
Aql ko bhi tasalli deta hai
Fitrat se bhi takraata nahi
Wahi se bhi sabit hai

Yahi aqeedah tawheed ka kamil, mukammal aur be-daag tasawwur hai.

------------------------------------------------------

point –4 sawal ki Azadi

Aql Aur Sha‘oor Ka Deen hai Islam

Islam sawal karne se mana nahi karta.
Yeh kehna ke pIslam sawal karne se mana karta hai bilkul ghalat hai.
Islam asal me aql ko bunyaad banata hai.

Isi liye:
Pagal aadmi par shari‘at ka hukm nahi lagta,
kyunki jab aql nahi, to zimmedari bhi nahi
Yeh saabit karta hai ke Islam me takleef aql se judi hai

Islam har us cheez ko haraam karta hai jo aql ko nuqsaan pahunchaye.
A‘la Hazrat farmate hain:
“Islam andhi taqleed ka nahi, daleel aur aql ka deen hai.”
✔️ Samajhne ke liye sawal jaiz
✔️ Tehqeeq ke liye sawal jaiz
❌ Gustakhi aur be-adbi haraam

Yeh 4 points mil kar yeh saabit kar dete hain ke:
Nabi Kareem ﷺ sachche Rasool hain
Qur’an Allah ka la-jawab aur mehfooz kalaam hai
Islam ka aqeedah aqli aur fitri hai
Islam ka aqeedah sab se behtar hai
Islam aql, ilm aur sha‘oor ka deen hai

Alhamdulillah,
Deen-e-Islam haq hai, aur is ke siwa sab baatil.

Allah ke Siwa koi Ma'Abud nahi
Mohammad ﷺ Allah ke Rasool hai.
Qur'an jaisa koi kitab nahi
Islam jaisa koi Deen nahi

Alhamdulillah Alhamdulillah Alhamdulillah

Siraj Razvi Official Quran Hadees Sunnat Ahle Bait Sahaba Hanfi fiqh Ahle Sunnat ka Islami blog har fitne ka ilm o daleel ke saath radd Alahazrat Ke Talimaat Sunni

Want your business to be the top-listed Media Company in Mumbra?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Telephone

Address


Mumbra