Good thought

Good thought

Share

Photos 24/03/2016

Martin Luther king

Photos 22/11/2015

It true

Global Warming...

Photos from The BACK Benchers's post 10/05/2015

28/06/2013

Aaj bharat aazaad hai, agar aisa hai aapka vichaar,
To aazaad bharat ki beti kyun hain, aaj bhi lachaar???

Janni hai jo sanskriti ki, hai jo sabki sarjanhaar,
Use hi nahi mil pa raha aaj janam lene ka adhikaar???

Dudh piti nahi to kya, hai bhrun hatya ka vyabhichaar,
Kal ki mata ko aaj rondh dena, kahan ke yeh sanskaar???

Bharat ki beti ke tan par nahi, ho raha ruh par bhi balatkaar,
Aur kehte ho unnati-sheel hain hum, kaisa yeh vikaar???

Chand ko jeet liya jisne, us bharat ki beti gayi hai haar,
Aaj bhi nahi hone de raha, yeh samaj uske sapne sakaar???

Aankhon mein aanshu hai uske, dil mein gam beshumaar,
Aur jagat kehta hai, uske haalaat mein hai sudhaar???

Aaj bharat ki beti puch rahi, batado is baat ka saar,
Na rahungi jab main, kya chala paoge yeh sansaar???

Want your business to be the top-listed Shop in Kolhapur?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Address


Kolhapur