RIZVI Associate

RIZVI Associate

Share

19/12/2022

GST ki chhapemari se aatankit ho rahe vyapari Bandhuo ki jankari ke liye yah post presh*t kar raha hun ki is prakar ki chhapemari se vyapari Bandhu aatankit Na Ho aur na isase darkar apni Dukaan band Karen Bal ke GST adhikariyon se dat kar baat Karen aur apne GST ke paper ko taiyyar rakhen agar aapka turnover 40 lakh rupaye se kam hai to iska matlab yah hota hai ki aap Jahan se Mal khareed rahe hain vahan per is khareed ke liye aapne GST ki dhanrashi ka bhugtan pahle hi kar diya hai aur aise mein aapke upar GST file karne ka koi uttardayitv nahin banta hai. Yadi aapne GST ka registration Abhi Tak nahin liya hai aur GST ki return filing nahin kar rahe hain to bhi aap Sarkar ko apni khareed per GST ka bhugtan kar chuke hote Hain aisi dasha mein koi Adhikari aapko darata hai yah koi naya Kanoon batane ka prayas karta hai to aap usse yah kah sakte hain ki hamara turnover 4000000 salana se kam hai to hamen GST ke registration aur uski return filing karne ki koi avashyakta nahin hai kyunki yah Sarkar ki साफ-साफ guideline hai ab koi Adhikari aapse Jor jabardasti nahin kar sakta hai aur na hi kisi prakar ki koi fine hi aap per charge kar sakta hai fir bhi yadi is prakar ki koi gadbadi hoti hai to aap UN adhikariyon ke khilaf court mein yachika dayar kar sakte hain jiski sunvaee kar Doshi adhikariyon ke khilaf nyayik karyvahi ki ja sakti hai dhanyvad.

Want your business to be the top-listed Accountant in Jaunpur?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Telephone

Website

Address


Bazar Bhua Purani Bazar Near Imambara Dalan Jaunpur
Jaunpur
222001

Opening Hours

9am - 8:10pm