Muslim High Profile Rishtey India
20/09/2024
शादी के बहाने मुस्लिम महिलाओं को बनाता था निशाना, पैसे ऐंठकर हो जाता था फरार; जज को भी नहीं बख्शा क्राइम ब्रांच के डीसीपी संजय सेन के मुताबिक क्राइम ब्रांच की एंटी एक्सटोर्शन और किडनैपिंग सेल ने तैनात एसीपी सुश.....
Ye Group Fee'Sabeelillah hai
Aur group admins kisi se koi bhi fee nahi lete
Group me kafi saare marriage bureaus wale bhi add hain
To agr aap kisi ko bhi paise denge to ye apki apni zimmedari hogi
Group admins ka isse koi lena dena nahi.....
Ghareeb Unmarried ladkiyon k budhaape ki kagaar par pohachne ki ek wajah ye bhi hai
K dusri shadi ka concept bilkul khatm hota ja rha hai...
Aur har kisi ko sirf ek aisa paise wala husband chahye jiske oopar cheel jese panje gadha diye jaen, aur poori tarah us mard pe apna qabza jama lia jaaye.
Ye ek ghatiya ajami soch hai, jisme ye kaha jata hai k "k mera pati sirf mera hai"
Yehi wajah hai mard apne qadam phook phook k pehli shadi krta hai kyunki use pata hota hai k ab ye jo aaegi cheel ki tarah mere oopar panje gadha k baith jaegi, aur phir dobara to meri shadi hona nahi hai.
Is liye ladka aur uski family tab tak ladkiyan reject krte hain jb tak unhe unke mutabiq panje gadhaane wali nahi mill jati.
Jiske nateeje me apne liye ghulaam talaash ladkiyan Budhape ki kagaar pe pohach jati hain.........
Agr ladke ko pata ho k mai dusri shadi bhi kr skta hun
To ho skta hai wo pehli shadi me compromise kr le, kaali se bhi kr le, moti se bhi kr le, naati se bhi kr le, talaqshuda ya bewa se bhi kr le, ya khubsoorati dekh k ghareeb yateem se bhi kr le...
Lekin ladke ko pata hota hai k ye Kaali, Moti, naati, bewa, aur ghareeb bap ki beti mera dobara nikah nahi honge denge
Isliye wo in tamaam kalio, motio, naatio, bewao, ghareebo aur yateemo, k*m padhi likhi ladkio ko reject krke usi ek panje gadhane wali ki talash me rehta hai jo iske status k barabar ho...
Agr ye tamam ghareeb baap ki betiyan aaj is baat ka ehad kr len, k hame well settled bande se nikah krna hai, chahe wo pehle se shadi shuda ho, ya talaqshuda ho, ya umr me hamse bada hi kyun na ho,
To na sirf in Ghareeb baap ki betio ka nikah saheeh waqt par ho jaye,
Balki inki jhoparoattion ka haal bhi sudhar jaaye........
Agr ek se zyada nikah ko musalmano ne ab aam na kia
To qaum me aisi badnizaami phailegi k saari hekdiyan nikal tum logo ki
Jin ladkio ki umre 30 ko paar kr chuki hain,
Unke maa baap hosh k nakhoon len,
Aur tumhe koi haq nahi rha ab ladke ka rang, karobar, haisiyat, ladke ka ghar baar aur uska marital status dekhne ka..
Sirf Eemaan, nasab aur khandan dekhne ka haq hi ab tum logo k paas baqi reh gaya hai,
Ab tumhare saro pe wo waqt aa gaya hai k tumhe pehle se shadi shuda well settled mard se bhi nikah krna hoga, talaqshuda mard se bhi nikah krna hoga, jiska koi khas karobar nahi usse bhi nikah krna hoga, aur jo Kiraye pe rahta ho usse bhi nikah krna hoga..
30 ka paar umr ho jane k bad wahi panje gadhane wali zehniyat rahi
To ye umr khisak k 40 bhi ho skti hai, aur 50 bhi...
Sirf Eemaan O Aqeeda dekho, Sharafat dekho, Nasab dekho, aur Khandan dekho
Aur kr do nikah...
Allah hidayat ataa farmaye
28/01/2023
Assalamu alaik*m everyone
Thanks for the registration on Elifevents.com
Aapke bohat sare msgs mile...
Kuch thanks k liye
Aur kuch members k msgs the k unhe samajh nahi aa rha tha k kis tarah sign up krna hai aur kese plan purchase krna hai, aur kaise apni profile upload krna hai..
Aap tamam logo ki guidance k liye ek mukammal video me apko ye tamam cheezen sikha di jaengi..
Aur Elifevents.com kis tarah se apke liye kaam krega, ye b ache se explain kr dia jaega...
Click here to claim your Sponsored Listing.
Contact the practice
Telephone
Website
Address
Opening Hours
| Monday | 10am - 8pm |
| Tuesday | 10am - 8pm |
| Wednesday | 10am - 8pm |
| Thursday | 10am - 8pm |
| Friday | 10am - 8pm |
| Saturday | 10am - 8pm |
| Sunday | 10am - 8pm |